Title suggest kar do !



Pyaar ?!

Pyaar, dard ka eak khoobsurat ehsaas, na na
"Pyaar, dard ka eak sagar", ye kehna thik rahega...

Pyaar wo jo toote hue dil pe marham lagaye,
usse theek kare yaadon ke sahare,
aur theek hote hi, eak gehra zakham de jaye...

Aur agar ye pyaar eak tarfa ho toh kya ?
toh sone pe suhaga.

Welcome to the world of 'Eak Tarfa wo Mulaqaatien'

'Behadh pyaar hai tumse,
shayad issi wajah se dard beshumar hai.'

"Tujhe chaha rabb se bhi zyada,
fir bhi na tujhe paa sake,
rahe tere dil mein magar,
teri dhadkan tak na ja sake..."

Sunnke badhiya lagta hai na ? Maine bhi kal hi sunna. Now here we go again.

I am calmed now. After going through the thick and thin of love, I've realised love is not pain ! Neither it'll ever be. Love never is the root cause of pain. We're the one's who causes pain. Sounds fragile, right ?

"Hadh se zyada hai pyaar,
issi wajah se toota hua chand hai yaar,
roshni hai teri parchayi mein,
kyuki sukoon hi tu hai yaar."

"Aab mehsoos hota hai,
mein sahi nahi uss raste,
jispe hai tere kadam,
khush nahi tu mere vaste,
jaha chal de sath hum sanam."

"Hawa ka ye rishta hai,
saanse jo chalti hai,
jab bhi teri zarurat ho,
rooh rooh mein tu basti hai,
rooh rooh mein tu basti hai."

"Chahte hum nahi iss kashti ko,
dooba ke sath le jana,
par tu agar sath ho,
toh kya dariya aur kya kinara ?
toh kya dariya aur kya kinara ?"

"Waise toh teri naa mein bhi,
dhundli maine apni khushi,
Waise toh teri naa mein bhi,
dhundli maine apni khushi,
tu agar haan kahe,
toh adhuri kahani hojaye puri !!"

"Dil hi rakhne ko sahi,
kehdo haan yun hi,
Dil hi rakhne ko sahi,
kehdo haan yun hi,
Cause no matter what,
You're home to Me !!
Cause no matter what,
You're home to Me !!"

Dear Love, How pitiful,
A kindness like you lagging,
behind the monstrosity of pain,
look well around, this ain't you,
act together, in a world suited for you.

Comments

Popular Posts