Eak Ajnabi si Raat

Haan, mein bhi pankh laga kar uddna chahta hu,
Uus neele aasman ko apni baho mein sameitna chahta hu,,
khayal aata hai mann mein uddne ka jab jab,
Khilkila jaata hu eak paudhe ki tarah tab tab,,
Jee karta hai, jee karta hai samundar ke uss paar yuu chutkiyo mein pahuch jaou,
Jal ki raani se guftgu kar, uska bhi sacha dost bann jaou,,
Zindagi bahot khubsoorat hai dosto,
Isse alag nazariye se azmaan kar to dekho,
Zindagi bahot khubsoorat hai dosto,
Jawani mai bhi bachpana hai dosto,
Zara baarish ki bundo se khud ko bhego kar toh dekho....

Haaan, kuch din phle ek therav aaya tha jindagi mein mere,
Kuch din phle ek therav aaya tha jindagi mein mere,
Laga tha mano suraj ne jaise badaldi ho disha apni,
Khushi ko maano talash raha tha mein jaise wo eak mirage ho,
Sab kuch aise lag raha tha maano bikhra hua kaanch ho,
Sab kuch aise lag raha tha maano bikhra hua kaanch ho,
Chub naa jaaye kisi ko, darr raha tha issi baat se,
Bhool kar sab kuch khel raha tha apne hi jazbaat se,
Bhool kar sab kuch khel raha tha apne hi jazbaat se.....

Dosto, woh kehte hai na, kuch turning points aate hai sabki life mai,
Aur jin palo ko aapne kosa hota hai, ek din wahi reason ban jate hai apki smile ke,
Eak din wahi reason bann jate hai aapki smile ke.....

Hostel life hai meri, Hostel life hai meri, to mummy ki call har roj aati,
Khaana dhang se khana aur apna khayal rakhna, aksar yahi baat khatam hojati.
Uss roj yaani 25 Aug bhi call aaya mummy ka, lekin raat mai nahi..aadhi raat ko !
Aur roo padi wo call pe, manno ansuo ki barsaat ho,
"Tujhe ho kya gaya hai beta", mujse ek sawal tha,
Mere paas aansuo ke alawa us waqt koi jawab na tha,
Aansuo ki aadla badli hui, Aansuo ki aadla badli hui, aur khamoshi k sath humne call rakh dia.
Lekin uss din meri maa ke ek sawal ne mujhe bohot kuch sochne pe majboor kardia,
Sawal tha-"Tujhe ho kya gya hai beta",
Uss raat mai so na paya, kalam utha kr diary mai maine ye sawal likha,
kalam utha kar diary mai maine ye sawal likha,
"Meri wajah se maa k aankho mai aansu kaise"-mjhe ye jawab mila.
Uss raat mai so na paya, kalam utha kr diary mai maine ye sawal likha,
kalam utha kar diary mai maine ye sawal likha,
"Meri wajah se maa k aankho mai aansu kaise"-mjhe ye jawab mila.

Haa wo tha mera turning point..I just wanna convey a message. Jab bhi aap low feel kare to apni family k baare mai soche, unki khushi k baare mai soche. And definitely sab kuch badla sa lagega...

Meri kahani se aap kitna relate kar paaye, ye to mai nahi jaanta,
Par hota sabke sath hai aisa, ek nahi kai baar, itna jaroor maanta.

School days mai kahi padha ya sunna tha ki life is like a sine wave,
Jab feel kiya, toh pta chala ki that negative cycle isn't less than a dark cave.

Wait, but the Irony is that,
Though the cave is full of darkness,
You have a source of illumination in your hand
So, it's upto you when and how to use it..

Dosto ,,,, Aankhir bhool kaise jaaye hum
Andheri raat k baad hi to subah ki roshni dikhti hai
Lafaz bayan karte hue agar eak kalam rukh gayi, to doosri hi to likhti hai, doosri hi to likhti hai...

Thank you 😁.





Pallavi

Comments

Popular Posts