Mulakatien








Maine kaha-:
Hum mile, khushi ke kuch pal bitaye, dher sari yaadien potlo mein bandh kar, khule panchiyo ki tarah ghume aur uss mehekti hawa mein udte rahe. Jaha duniya se anjaan apni hi duniya basa bethe, unn nanhe badlo mein jo khud apni kahaniyan likh rahe the.

Wo Muskurate hue boli-:
Kya baat hai, mera asar itna kaise ?? Hindi me bhi likhna shuru kar diya.

Mein hadbadate hue usse bol pada -:
Kavita nahi toh ?!?!. Phir uski ankon me ankhen milaate  hue kaha ye toh humara guzra hua kal hai jo eak khoobsurat si yaad bann gaya hai.

Thoda darte darte andar se eak aawaz nikli-:
Kya phir hum eak dafa mil sakte hai???

Wo boli-:
Sirf ek baar? Sirf eak baar ??

Maine kaha:
Humne eak baar karte karte kafi baar mil liya. Wo eak baar kab kitne baar ho gaya pata hi nahi chala.

Wo boli:
Tab ki baat aur thi. Hum ek hi sheher me the.

Mein kuch kahta isse pahle hi uske sawal mujh pr baraste gaye.
Uske sawal kabhi khatam nahi hote aur mere jawab humesha tayar, lekin phir bhi, lekin phir bhi wo sawal puchke khudko BHAROSA DENA nahi chodti
"Ki bus eak baar humari wo hi duniya wapas bann jaye".

Sirf eak bada wala believe in this uncertainty😄.

Comments

Popular Posts